Amazon Prime Videos Free Me Download Kaise Karen


Dosto apne amazon prime video ke bare me to suna hi hoga ispe bahut achhi achhi webseries aati hai... Jaise ki Kung Fu Panda, Arrow, The Originals, Kaksha Gyarvi.. in sab Webseries ka storyline bahut hi achha hota hai aur ekdum fresh hota hai. Lekin ye sab videos dekhne ke liye aapko Amazon Prime Ka subscription lena padega . Jise sab koi afford nhi kar sakte. To isi liye mai aaj apko ek tarika bata raha hoon jisse aap Amazon Prime Originals free me download kar sakte hain.

Amazon Prime Video Kya Hai?
Amazon Prime video ek platform hai jaha par aap videos, movies, web-series dekh sakte hain. Iska monthly subscription lena hota hai, jo ki ₹129 se shuru hota hai.
Ye ek On demand Videos streaming service hai yani aap jab chahen, jahan chahen video dekh sakte hain. Hamare ghar par jo television laga hota hai wo on demand stream nahi hota apko jo dikhaya jayega wohi sirf dekh sakte hain ek baar me.
Lekin ispar aap kabhi bhi kuchh bhi dekh sakte hain. Ye kafi popular video streaming service hai. Haal hi me charchit web show Mirzapur bhi isi par aata hai. 



Mai aapko apko Amazon Prime Video ki video download karne ki 2 website bataunga jisse aap aasani se Films and Webseries download kar sakte hain.

  • Top Movies download karne ki websites kon kon si hai
1) MoviesFlix- Is website se aap Amazon Prime ki videos bilkul free me download kar sakte hain. Aur saath hi New released Bollywood & Hollywood movies bhi download kar sakte hain. MoviesFlix ko mai 5star deta hoon kyuki mai bhi isi ka use karta hoon.
Image me dekhen yaha par Amazon Prime Video ka option diya hai use click kar ke aap download kar sakte hain.

2) AmazonBaba - 
Is website se bhi aap Amazon Prime Video ki webseries bilkul free me download kar sakte hain. Is website ki ye khasiyat hai ki ispe Amazon ke saath Netflix ki bhi videos download kar sakte hain. Aur ise use karne ke liye kisi VPN ki bhi zaroorat nhi parti.


Guys apko ye post kaisi lagi? Agar ye apke liye useful hai to apne frnds ke sath bhi share karen aur notification bell zaroor dabaen.